Friday, March 28, 2008

Kaisey Humey Na Yaad Rahey…?

Kaisey Humey Na Yaad Rahey…?


Ek tilismee mulaqaat, Ek haseen farishtey ke saath;
Uss saath ka tilismee asar, kaisey humey naa yaad rahe?

Thaamey rahe woh mera haath, aur jaagte rahe saari raat;
Uss raat ka katra-katra, Kaisey humey naa yaad rahe?

Humari har ek muskaan, Jisney maani apni shaan;
Uss shaan ko sambhale rakhna, Kaisey humey naa yaad rahey?

Humarii taraf unkii mohabbat, Aur unkii paak sohbat;
Uss Sohbat ki aisei barkat, kaisey humey naa yaad rahey?

Shaayad ek ajnabi hai who, lekin kaabil saahir hai woh;
Uss saahir ki jaan ban.na, Kaisey humey naa yaad rahey?


~ Rups ~ 28th March 2008 :)

Tah'joob karte the log saarey,
aisey they be.nazir khwaab humarey;
Unn Khwaabo ka haqeeqat ban.na,
Kaisey humey na yaad rahey???


No comments: