Thursday, August 9, 2007

... Kal takk they jinkey aas paas...


Kal takk they jinkey aas paas,

Aaj unki hi khabar milti nahi;

Rehti hai unki tasweer aankho mei,

Magar unhi sey nazar milti nahi!!!


Yahaa ke log humey dekh-kar,

Yaad Aapko hi kartey hai…

Humey toh humey; In logo ko bhi,

Abb Aapsey fursat milti nahi!!!


Aap par likhey nazmo ki kitaab,

Seeney se lagaaye rakhi hai;

Iskey alawaa ghar me humarey,

Koi keemati cheez milti nahi!!!


Mohabbat key sataay, hum,

‘Uff’ karna bhi bhool chukey;

Aap ke hotey kuch araam tha,

Abb koi dawaa milti nahi!!!



~~Rups~~

Jabtakk unkey kareeb rahey... Unki aankho me doobna lajmi tha;

Magar unsey bichadkar; aansoo-o me doobna bhi khoob laga!

Theys toh lagni hi thi dil ko; Ek arsaa huaa milkar unsey…

Phir milney ki umeed sey hi, us chot ka bhar anaa bhi khoob raha!


Tuesday, August 7, 2007

Ek Mehfil aur Ek Ajnabee...

Us din ke mehfil me - humara janaa bhi khoob raha;
Ek haseen ajnabee se, takraana bhi khoob raha!


Waise to anjaanon se yoon khulkar hum milte nahi -
Magar us anjaan chehre ko pehchaanana bhi khoob raha!


Dilpheynk toh hum nahi; Guroor thoda hum me bhi hai,
Magar ek anjaaney key liye is dil ka dhadknaa khoob raha!


Abtakk Log dekhtey they humey, humne kisiko nihara nahi,
Lekin un nigahon me, humaraa doobna bhi khoob raha!


Woh toh khamosh rahey… Bharey Mehfil me raatbhar,
Aur unhisey baat karneke liye – humara tadapna bhi khoob raha!


Abtakk hum samjhe nahi – kyoun rehta hai dil na saboor?
Lekin unhey samney paakar, sukoon ka lautna khoob raha!


Mehfil-e-shaam ke dhaltey, shayad wo humey bhool gaye…
Magar achanak dobaraa sey unsey milna bhi khoob raha!


Lagta tha milkar unsey, kaheen aadat na padd jaye unki … Lekin
Unsey mehroom hokar, unko khud me hi panaa bhi khoob raha!


~~Rups~~
Unsey toh bahot kuch mila hai, dard bhi dawaa bhi;
Lekin unsey milne ke baad, duniya se khona bhi khoob raha...!!

'Ek Mehfil Aur Ek Ajnabee' ... Dedicated to the FIRST sight ... the FIRST meet!!!

... Kal Raat Kuch Sarrdd Thi ...

Kal raat kuch sarrd thi,
woh bhi der tak soya hoga;
aur aaj suraj ki roshni nei,

usey bhi toh sehlayaa hoga...!


Aaj Aieney kei saamney -
woh bhi kuch pal ruka hoga;
apney hi eik muskaan mei -
(shayad) usne mujhe dekha hoga.


Phir beganey bheed mei -
woh bhi chal pada hoga;
mushgul hua hoga is kadar kei -
khud ko bhi bhool gaya hoga.


Shaam kei hote hi -
Woh bhi ghar lauta hoga;
Ek pal ke liye hi sahi, shayad-
Usney mujhe yaad kiya hoga.


Gar aisa na bhi hua toh.... ,
ussey kaise shikayat karoon?
buss bann jaaoon ainaa uskaa-
aur uskei muskaan ka intezaar karoon !!



~~ Rups
Is intezaar ka koi anjaam nahi toh kya?
Meri is zindagi ko ek wajah toh mil gayi...

Monday, August 6, 2007

Wo miley toh sahee !!!

Phir kar lenge zindagi pe aitbaar; Wo ek dafaa humsey miley toh sahee;

Taqdeer se na rahegi taqraar; Wo haatho ki laqeero me dikhe toh sahee!


Khud se rahey rooothe kabb takk? Abb toh hum bhi kuch thakk se gaye;

Hothon pe saja lenge phir hasee; Wo ek baar muskuraye toh sahee!


Is intezaar ka kya kehnaa? … Unkey saaye se dil behlaate rahe

Phir bhi karenge khud pe naaz … Wo haqeeqat me ek pal miley toh sahee!


Kabbtakk roke rakhe ashqo ka tufaan? Abb toh aankhe bhi thakk gayi;

Inhe bhi mile barsaat ka mauka… Wo apni baaho mei hume bhare toh sahee!


Humari saanso me unki yaadein? Ya, unki yaadon se humari saansein?

Iska bhi laga lenge hisaab … Wo yakeen-e-halaat karey toh sahee!


~ Rups ~
Ek umr guzar gayi, unki ummeedo ke saharey;
Chalo umeed pe hi sahee, hum jiye toh sahee!