Thursday, October 5, 2017

Sukoot-e-Shab


Sukoot-e-Shab mein bhi, Woh kahaa soti thi?
Ek puraane khalish se, Dil-Shikastah woh roti thi.


Iss Aalam ke tareeko ka, idraak usey tha kahaan?
Habeeb ki talab liye, woh rahti gum gashtah.


Kaafir, awaarah jaisey, ilzaamo pe woh hasti thi,
Ishtiyaaq wala dil liye, Maftoon woh chal padti thi.


Qudrat ki thi shafaaqat, Ya ibaadat me uske zor tha;
Ek Farishta ek khwaab sa, Uskey ab ru-ba-ru tha!


Sukoot-e-Shab mein abb, woh be-fikr soti hai;
Farishton ki koshish, Shayad ye hi hoti hai….




Ruu.
5 October 2017
Bangalore



Journey of finding ... Me