Monday, March 24, 2008

Dil ki baatein na karo!

"Dil ki baatein na karo - humi ko uski khabar nahi...
Haan jaantey hai itnaa - ki mili abhi woh nazar nahi...
Jisey dekhkar aur jin me doobkar, kuch der baad
Rukk jaaye dhadkaney - kum se kum ek baar hi sahii..."

"Rahe khamosh phir unkii nazar, aur hum bhi chup rahe,
Naa baatey karey honth bhi, Magar nazar kaayam rahe;
Humari tarahh woh bhi, inn aankhon me doob jaaye phir...
Phir dono dilo ki dhadkane, palbhar ke liye thami rahe...!!!


~ Ruu ~ 24th March 2008, Bangalore

No comments: