Thursday, August 23, 2007

... Aaj-Kal ...


Jhaankey mere absaar^ me; garr koi ek pal

Ishtiyaaq^ milega, mere usee qaatil ka aaj kal...


Jis daaman ko woh chookar bhi thaam na saka –

Humney aab-e-chashm^ se, usko bheegoya aajkal...


Usee befikra ka taalib^ bann chuka yeh dill

Jisne isi bebas ko wahshat^ mey dhakela aajkal…


Uski judaai par, usssey gila kar na sakey

Toh apni hi qazaa^ ko gunehgaar kahaa aajkal…


Dhadkane tez karkey, woh thukra gaya humey

Usei thokar ko talkh^ dawaa banayaa aajkal...


Khaak ho jaaye hasti, 'usiki' muraad me

Kabhi maut ki, kabhi “Uski” talab^ hai aajkal….


~ Rups ~ 7th November 2006, Bangalore

Meanings of a few Urdu words in this Ghazal:

^Absaar: Eyes
^Ishtiyaaq: Longing/Craving/Desire
^Aab-e-chashm: Tears

^Taalib: seeker/enquirer/lover/candidate
^Wahshat: solitude/grief/fear/sadness/loneliness
^Qazaa: fate/destiny/jurisdiction/judgement
^Talkh: Bitter
^Talab: Search/Wish/Demand


Wednesday, August 22, 2007

... Mubarakaa, Mubarakaa!

Zindagi ko garr kaho 'zaayka' -

Kuch namkeen, kuch khatta;

Khuda karey, naam tere -

Aaye wo, jo ho subsey Meetha !!!


~ Rups ~
22nd Aug 2007
( B'day Wishes for a colleague, for a friend - Gowri! )

Monday, August 20, 2007

Umeed hai, Intezaar hai…. Buss ek wo hi nahi ….!!!


Dil hai, dhadkan hai; Saansey hai, zindagi hai;
Zindagi hai, Hum hai, … Buss ek wo hi nahi …!!!


Os ki boondey hai; Halki subah ki dhoop hai;
Dhoop hai, Chaaon hai… Buss ek wo hi nahi …!!!


Sooraj me doobi lehre hai; Raah dekhta saahil hai;
Saahil hai, Samundar hai, … Buss ek wo hi nahi …!!!


Ek anjaani manzil hai; Safar ki haseen Raahey hai;
Raahey hai, Raahi hai; … Buss ek wo hi nahi …!!!


Sitaaro ki mehfil hai; Roshan chandni sey raat hai;
Raat hai, Tanhai hai; … Buss ek wo hi nahi …!!!


Manzar-e-Mohabbat hai; us farishtey ki khwahish hai;
Khwahishey hai, khamoshi hai… Buss ek wo hi nahi…!!


Ek tootati zindagi hai; Ek aakhiri umeed hai;
Umeed hai, Intezaar hai…. Buss ek wo hi nahi ….!!!




~~~ Rups ~~~
10th August 2007 ...203, Bangalore


Saans lete thak gaye, abb nikla humara janaaza hai...
Janaaza hai, meri maut ka magar... Phir bhi ek wo hi nahi....!!!