Wednesday, March 12, 2008

...Achanak woh jab ayaa nazar…

Tham gaye usey phir dekhkar,
Achanak woh jab ayaa nazar…
Sitam phir hua tab rooh par –
Achanak woh jab ayaa nazar…


Saansey zara ruk si gayi,
Ashqo se palke jhuk si gayi,
Hua uska phir tilismi asar…
Achanak woh jab ayaa nazar…


Kya mohabbat, kya qazaa hai?
Meri tabaahi ki kya wajaah hai?
Jaaye kahaan? Dekhe kidhar…
Achanak woh jab ayaa nazar…


Yaadein phir taaza huyi,
Zindagi phir sazaa huyi,
Huye waqt se phir bekhabar…
Achanak woh jab ayaa nazar…


Kyoun humne usey roka nahi?
Kyoun usney hume dekha nahi?
Kyoun ro padey hum tootkar …
Achanak woh jab ayaa nazar…


~ Ruu ~ 11th March 2008 …10ish pm
Church Street, MG Rd, Bangalore.


Why can’t I become invisible-
…especially to him who considers me one?
Why do I have to miss someone so dearly-
…especially him, who considers me 'No one'?