Monday, November 21, 2016

Rahey hum ajnabi, Sirf ajnabi.


Thes pahunchane waley toh, humesha mere apne hi they,
Ab sochte hai, buss gairon se hi, Hoti Rahe mulaqaatey.

Ajnabi Rahey ajnabi, Na pehchaan agey badhey,
Dil ke Kareeb, Na hum bulaye, Na wo pahunchey. 

Na baatein ho zindagi ki, buss khamosh Rahe,
zakhm-e-zindagj, us khamoshi mein dafn Rahe.

Buss ho muskuraahate, jashn mein us pal ke.
Gham agar aana bhi chahe, to laut jaye palat ke. 

Baad is mulaqaat ke, tanhaai me laut aye.
Ek chaadar aisi odhe, ki sote rahe, buss sote Rahe. 


Ruu.
19 November 2016


No comments: