Teri muskaan me, meri raahat ke kuch raaz hai;
Kaash yehi raahat milti rahe, … kuch aur der takk!
Aaj is sheher ki raat, hai buss tujh-se hi roshan;
Kaash ye raat chalti rahe, … kuch aur der takk!
Lafzon ko bhulkar, tera ‘nazron’ se baate karna;
Kaash ye nazar kaayam rahe, … kuch aur der takk!
Raaton ko badi der tak, buss teri khayalo me rehna;
Kaash yoon hi hum jagte rahe, … kuch aur der takk!
Mere thandey haatho ko, tera apne haathon se malna;
Kaash ye thandd bani rahe, … kuch aur der takk!
Milnaa, sambhalnaa, bigadnaa, muskuraana;
Kaash ye silsila chalta rahe, … kuch aur der takk!
Haan, apni mulaqaat, thi buss chand palon ki hi;
Kaash ke wo pal phir laute, … kuch aur der takk!
~ Rups ~ 25th February 2008
Tere kareeb hone par, duniya ka thamna yaad hai;
Kaash sabkuch phir tham jaaye…… kuch aur der takk!
No comments:
Post a Comment