Abtakk jo chupaye rakhe hai, beparda na karo un zakhmo ko;
Is zamaney me marham se zyada, namak sasta miltaa hai !!
Mitti ke baney logo me, kuch paththar ke but bhi miltey hai;
Abb Paththar se dil takraye gar, toh thoda dard hota hi hai !!
Haan kuch tabdeeli hui toh hai, tez daudte insaano me;
Suna hai aajkal Chaahat ke badley, dard nawaaza jaata hai !!
Who har pal jo aaj hai kareeb, usime jeena seekh lo;
Palon ki ahmiyat ko tootatey, waqt kahaa lagtaa hai?
Ashqo ki sachchai me abb, logo ko dilchaspi kahaa?
Magar muskaan farzi bhi ho, usey khoob sarahaa jataa hai !
Apno me baney kuch rishto me buss yahi ek dikkat hai;
Gar unka anjaam na ho, to rishtey ko thukraaya jaata hai !!
Har safar ko waqt ke tarazu me napaa nahi kartey …
Kuch raastey aise bhi hotey hai, jinki manzilo ka nishaa miltaa nahi !!
22nd April, 2007; 7.50 a.m.;
After an hour’s walk from home to office….
Garr chaahat ho chaand ki, to raato ko jagnaa padta hai;
Waisey bhi aashiqo ka neend se, waasta hi kya hotaa hai?