Jhaankey mere absaar^ me; garr koi ek pal
Ishtiyaaq^ milega, mere usee qaatil ka aaj kal...
Jis daaman ko woh chookar bhi thaam na saka –
Humney aab-e-chashm^ se, usko bheegoya aajkal...
Usee befikra ka taalib^ bann chuka yeh dill
Jisne isi bebas ko wahshat^ mey dhakela aajkal…
Uski judaai par, usssey gila kar na sakey
Toh apni hi qazaa^ ko gunehgaar kahaa aajkal…
Dhadkane tez karkey, woh thukra gaya humey
Usei thokar ko talkh^ dawaa banayaa aajkal...
Khaak ho jaaye hasti, 'usiki' muraad me
Kabhi maut ki, kabhi “Uski” talab^ hai aajkal….
~ Rups ~ 7th November 2006, Bangalore
Meanings of a few Urdu words in this Ghazal:
^Absaar: Eyes
^Ishtiyaaq: Longing/Craving/Desire
^Aab-e-chashm: Tears
^Taalib: seeker/enquirer/lover/candidate
^Wahshat: solitude/grief/fear/sadness/loneliness
^Qazaa: fate/destiny/jurisdiction/judgement
^Talkh: Bitter
^Talab: Search/Wish/Demand