Dinnbhar uskaa zikr hua; Dinnbhar uskii yaad ayee;
Raat ki jabb baat chidii; Phir useeki yaad ayee!
Abb nashaa hua hai toh; Phir useeki yaad ayee!!
Mehfill me harr ghazal; usiipe humne farmayee;
Jo tanhai me ro diye; toh Phir useeki yaad ayee!!
Haan ashq bhi hai bahaaye, waqt-e-ishtiyaaq mein;
Lekin har ek muskaan ke saath, phir useeki yaad ayee!!
Uskii har ek tasweer ko; hum dafnaa aaye the magar;
Aeeney me khud se nazar huei; toh Phir useeki yaad ayee!!
Paagal dhadkane umr-bhar, usey pukaarti rahi magar;
Abb saanse rukk chali hai toh, phir useeki yaad ayee!!
Is tadap ka us patthar pe – asar ho jaaye;
Hum rahe khamosh par usey – khabar ho jaye;
Ho sakey agar toh kuch aisa – manzar ho jaye;
Wo uthaye palkein apni to humse – nazar ho jaye!!
No comments:
Post a Comment